3 unbelievable planets that exist in universe



3 unbelievable planets that exist in universe





Hello dosto  ,jaisa ki aap jante hi honge ki NASA har din space mein kadi nazare gadaye baithti hai aise planets and stars dundhne jo  humare prithivi se kisi bhi prakar  similar ho iski wajha ye hai ki humme unki padai karne se humare bramand yani universe ke history ke baare mein important information milti hai aur kya pata humme apna hi bhai mil jaye .jahan hum agge kabhi insaniyat ko pahucha sake .lekin is khoj ke daruan humare samne khuch aise vichitra planets and stars aa jate hai unne dekhkar humme ye yakin ho jata hai ki universe ke dictionary mein namumkin naam ka koi word hi nahi hai .


 

So iss post mein hum khuch aise hi unbelievable planets ke baare mein discuss karenge aur janege ki wo kaunsi visheshtaye hai jo unne baki sabi planets se  itna vichitra banati hai.

 


1)TRES 2b or Kepler 1b






Humare blue planet se lagbag 750 light years dur drago constellation mein ek Tres 2b naam ka ek jupitar ke akar ka gas giant hai ,par khuch to ajeeb bat hai iss planet mein ke ye jupitar ki tarah dikhta bilkul bhi nhai hai .infact ye apko dikhega bhi nahi ,agar aap iski majoodgi ko kisi adhunik electronic instrument se measure nahi kar rahe ho to ,aur iski wajha ye hai ki ye apne pe padti 99 % Roshni ki kiran ko apne andar ek black hole ki tarah sokh leta hai ,aur iss wajha se ye planet dekhne me koyle se bhi jada kala hai .scientist yakin se nahi keh sakte ki yahan itni vichitra tarha se itna andhera kyu hai ,par unka man na ye hai ki is planet ke atmosphere mein aise gasses hai jo Roshni ko absorb karte hai aur reflect nahi par jitni bhi Roshni iss planet pe padti hai wo aam planet se kai jada  jada hai kyuki ye sun jaise medium size sitare ke kafi nazdeek  chakar lagata hai  , iss wajha se yahan temperature bhale hi 1,100 degree celcius ho par fir bhi chamakta bilkul bhi nahi hai ,par kabhi temperature hadh se jada badh  jaye fir yeh bahut hi dhundli si lal rang ki chamak deta hai ,jaise ek jala hua garam sa koyla .



2) GLIESE 436b






Humare planet se 430 light years dur ,leo constellation ki  taraf ye Gliese 436b ek aisa planet hai jo apki chemistry ki ab tak ki samaj par hi question khada kar dega , ye planet waise to barfila planet hai,jiska average temperature rehta hai kareeb 450 degree celcius,.ek second kya? Ji haan apne bilkul sahi padha ,Neptune ke akar ke iss hydrogen aur helium se bhare vichitra planet ka surface pura baraf (ice )se  covered jaroor hai lekin iske sath sath ye bahut hi garam temperature  mein jalta rehta hai .scientists ka manna hai ki ye iss planet ke gravity ke wajha se sambhav ho paya hai .jahan iss gravity (akarshan bal )ke wajha se planet ke saare particles aaps mein sanghatit hoke banne hue hai ,jo unnhe evopration ki prakriya se bajata hai ,issilye ye humme baraf jaise dikhte hai .aur aam planets ki tarah ye bhaap (vapour)mein badalkar barrish bhi nahi la pate,par sirf tapte temperature me jalte reh jate hai .



3)HD 189773b




Kaisa lagta agar apko kabhi kach chub jaye to ,well ye planet HD189773b jo waise jupitar ke size se thoda sa hi bada hai, par dekhiye iss ajoobe ko kafi sundar nahi lagta lekin ye sundarta hum insaano ke liye kissi prakar ke  chalawe se kam nahi hai ,kyuki ye planet appe kisi bhi waqt  mirror yani kanch ki barish karna shuru kar sakta hai .iski wajha ye hai ki iska atmosphere silica ke particles ka  bana hai ,jo humme reti (sand)mein dekhne milta hai.iss planet ke atmosphere mein hawaye 8700 km/hr.ki raftaar se behti hai ,jo hai awaaz ki gati se 7 guna jyada tej aur iske sath sath temperature bhi 930 degree celcius hai  jo silica ko pighlake kanch me badalne mein bharpoor madad karta hai



Ab jara imagine kijiye,iss kanch ki barish ke baare mein ,sochiye mausum kaisa honga ,badale kaise hongi aur wo 8700 km /hr ke teji se behne wali hawaye tute kanch ke particles ko zameen tak kisi bullet ki tarah teji se fekengi.
SHARE

Milan Tomic

Hi. I’m Designer of Blog Magic. I’m CEO/Founder of ThemeXpose. I’m Creative Art Director, Web Designer, UI/UX Designer, Interaction Designer, Industrial Designer, Web Developer, Business Enthusiast, StartUp Enthusiast, Speaker, Writer and Photographer. Inspired to make things looks better.

  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
  • Image
    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment